Sat. Dec 21st, 2024

Dosto, ab aap sirf mobile se thodi mahenat karke kisi bhi bank account number se ghar baithe account holder name pata kar sakate ho,

isake liye apkae pass apane kisi bhi bank ka mobile banking apps ka login id hona chahiye

jaise ki mere pass bank of baroda me account hai aur mere pass usaka ATM Card bhi hai aur mobile number bhi register hai, isliye me BOB Bank ka m-connect plus app install kar usape apana account create kar sakate hai fir aap account number se account holder name pata kar sakate ho,

jaruri nahi hai ki apaka account bhi bank of baroda me hi ho, aap apane bank ke apps se pata kar sakate ho.

Bank Account Number se Account Holder Name Kaise Pata Kare

1. Firstly aapko apane bank ki mobile banking service ko register karna hoga, fir apako id & password ban jayega fir usako login kar lena hai.

2. Apako apane bank ka Apps ko open kare and login password se login kare, home page me ” Fund Transfer ” or “Send to Money” etc. ka option hoga uspe click kare.

within bank Money Transfer

3. Aapko different options show honge jinme se ” third party within bank ” par press kare. (Yaha se aap usaka hi account holder name pata kar sakate ho, jis bank me apaka account hai usaka hi pata kar sakate ho, account number dal ke)

4.Demo

Money transfer karne ke liye online form open hoga, ab ” to account ” likha hoga us box me aap jiska name Janna chahte hai uska account number enter kare, aap jaise hi account number daal doge wo account jiska hai uska name niche show ho jayega.

Example : jaise ki apaka account Bank of India me hai to aap “third party within bank” ke through account number enter karate hi account holder name show ho jayega.

Ab aapne jaan liya ki kish sankhya tak a/c open hue hai ab aapko m-connect plus>>login>>fund transfer>>third party within bank me jake ek ek karke sabhi account number dalne hai name bhi show hoga so aapko ye pata chalega ki ye account kisike name par hai.

Other Bank Account Money Transfer

  1. Apane Bank Ka Application Opne kare and Fund Transfer Se related option par click kare.

2. Aapko different options show honge jinme se ” Other Bank Transfer to Account ” par press kare

3.  Agar apako kisi bhi bank account number se Account Holder Name pata karana hai to isliye apako usake account number par paise tranfer karana hoga 1-2 rupees tranfer dal ke check kar sakate ho. Yaha par apako vah account number & ifsc code enter karana hai aur Procees button par click karana hai

4. Jab aap jisaka account number se Account holder name check karana hai, usake a/c me paise dal dena hai 1-2 rupees.

5. Fir apako apane Apps Me jaha par Transaction History option hai usako Search kare fir usape jakar click kare.

 

 

6. Yaha par apako abhi jis account number me Paise Tranfer kiya hoga yaha par usaka details show ho jayega. Yaha par Apako View Button par click karana hai

 

7.  Yaha par apako abhi jis account me paise transfer kiya hai usaka full details show hogi jisame apako Beneficiary Name Wale option me Account Holder Name show ho jayega.

 

Aap aaise kisi bhi bank accounter number me chand paise dal ke usaka account holder name pata kar sakate ho.

Related Post

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *