Sat. Jan 18th, 2025

AO Number Search || PAN AO Code Find || Area Code AO Type Range Code AO Number

ao code search

Area Code AO Type Range Code AO Number Search, AO Number Search || PAN AO Code Find

Agar Aap ek New PAN Card Apply Kar Rahe Hai, To aap se pan card form fill karate time AO Code Fill Karane Ke Liye Jarur Bola jata hai.

Agar apako pata nahi hai ki AO Code Kaha se Milega kaise AO Code Search Kiya Jata hai, AO Code Kya Hota Hai, Wrong AO Code Fill Ho Gaya to kya hoga. sab kuchh this article me cover karane ja rahe hai.

AO Ka Full Form Kya Hota Hai ?

AO Ka Full Form Assessing Officer Hota hai. Yah City Level Ka Officer Hota Hai, Assessing Officer Kaha Hota Hai, Yah City Ke Income Tax Office Me Hota Hai.

AO Code Kyo Liya Jata Hai ?

Agar aap AO Code Fill Karate Hai to isase apko hi benefit hai, Agar AO Code Wrong Fill Karate Hai to isase apako hi Nuksan Hai, Yadi aap correct ao number enter karate hai to apko feature me pan card se related koi bhi issue nahi aayega. vah kaise ? vah aise ki agar apaka pan card block ho jaye, pan card lost ho jaye, pan card ka miss used ho jaye, pan card surrender karwana ho, pan card aadhar card ko delink karwana ho to AO Code Correct Hona Bahut Jaruri Hai. Agar apaka PAN Card Me AO Code Sahi Hota Hai To aap jis city ka ao code istemal kiya tha us city ke income tax office me jakar yah sab kaam karwa sakate hai, agar apane ao code kisi other city ka istemal kiya tha jo city apaki residence city se bahut door hai to apako vaha par pahuchane me bahut problem hogi. sayad apaka kaam bhi nahi ho.

Kya Student Ke Liye Alag AO Code Hota Hai ?

No, AO Code City Ko Allotted hota hai, Nahi ki kisi person ko, aap jis city se belong karate hai, us city ka ek alag ao code available hoga jisaka istemal aap pan card form apply karate time kar sakate hai.

Ao Code for Pan Individual No Income ?

No, AO Code Individual or No Income Ke According Nahi Hota hai. Balki City wise hota hai. har city ke pass ek ao code hota hai, jisaka istemal us city me niwas karane wala person kar sakata hai.

AO Number Search || PAN AO Code Find

Online AO Code or AO Number Find or Search karane ke liye niche diye step ko follow kare.

Step 1:- Online AO Code Find Karne ke Liye https://aocodefind.go24.info/ this link par visit kare

Step 2:- Apake Samane Kuchh Aisa Interface Dekhane ko mil jata hai, ab apako state name select karna hai.

Step 3:- Fir apako City Name Display Hoga, Apako City name select karna hai.

Step 4:- Hamare Samane AO Code Ki List Open Ho Gayi Hai, Hamare pass bahut saare ao number display ho rahe hai. ab in me se konasa ao code pan form me enter kare.

Step 5:-  Correct AO Code Choose karane ke liye kuchh hint me apko de raha hoo jisase aap correct ao number select kar sakate hai.

Step 6:- AO Code Find Karane ke Liye apako pahale “Ward/Circle/Range/ Commissioner” wali list check karna hai, isame apko check karna hai ki isame jo ward no circle no range no or name jo aa raha hai. kahi vah apake area ka to nahi hai. ho sakata hai ki jo ward no bataya ja raha hai. apake area ka ward no to nahi. agar vahi hai to us line wala ao code aap istemal kar sakate hai.

Step 7:- “Description” me apako kuchh city ka name display hoga jo taluka ka name hoga yaha se bhi apko easy ho jata hai ao code choose karane me

Step 8:- Aise Aap AO Code Details Check kar sakate hai. isake liye apase only state name or city name chahiye hota hai.

 

Related Post

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *