Sat. Nov 23rd, 2024

Mobile number se bank account number pata kare : Kya aap bhi bank account number online check karna chahate hai to aap kaise online bank a/c number pata kar sakate hai,

Aksar jab kabhi ham apane kisi bank ka account number bhool jate hai tab hame bahut problme ho jati hai, hamare pass us account ka kuchh bhi information nahi hota hai, aise me bank account number check karna bahut difficult ho jata hai, aaj ham apako online aur offline kaise bank account number pata kar sakate hai, aaj this article me baat karane wale hai.

Online or Offline Bank account number kaise check kiya jata sakata hai, actually me usake bare me niche bataya gaya hai.

Offline Bank Account Number Kaise Nikale ?

Kya aap bhi offline process ke through bank account number janana chahate hai to niche diye step ko follow kare.

 

Aap jis bank ka account number search karna chahate hai, us bank account se ke sath konasa mobile number register hai, Pahale vah pata kare, fir aap us mobile number wala sim card kisi phone me implement kare aur phone ka message apps ko open kare.

Jab aap register mobile number wala phone ka SMS Application Ko Open Karenge tab apako usame apane bank ka name type kar ke search karna hai.

Fir apako us bank ke through receive all message display ho jayega, fir apako all message check karna hai, kisi naa kisi message me apako bank account number dekhane ko mil jayega.

Yadi apako full bank account number dekhane ko nahi milata hai to aise me ek kaam kar sakate hai, Aap apane bank branch se contact kar sakate hai, vah apako full bank account number bata denge.

Bank Account Number check karane ke liye aap physical bank branch jakar check kar sakate hai, Dusara us bank branch ka telephone number par call kar ke pata kar sakate hai, yah number apako google map par apne bank ka name aur city ka name type kar ke search karane par mil jayega.

Agar apako local bank branch se account number ka details dekhane ko nahi milata hai to aise me aap us bank ke head office jo delhi, Mumbai, Kolkata etc city me hote hai, aur jo bank ka official toll free number hota hai, usape call kar ke aap apane kuchh personal details bata ke aap account number check kar sakate hai.

bank ka toll free number apako google par search karane par mil jayega, isake liye apko google me type karna hoga apane bank ka name last me toll free number type kar dena hoga, fir apako toll free number display ho jayega, Jis website par apako toll free number display ho vah website check kar lena hai, kabhi bhi phone no par call nahi karna chahiye, aisa karane par froude hone ka chance ban jata hai

 

Online Bank Account Number Kaise Pata Karen ?

Kisi bhi Bank ka Account number check karane ke liye apako niche diye step follow kar sakate hai.

Yadi aap register mobile number se bank account number check karna chahate hai

Bank A/c Number Check Karane Ke Liye apako apane phone me ek application install karna hoga.

Aap apane mobile phone me Paytm, Phone Pe, Google pay Kisi bhi application ko install kare

Yadi apake pass instame se kisi application par account pahale se bana huaa hai to isako login kare

Aur Pay Application ke under koi aisa opiton check kare jisame us application ke sath bank account details add karata ho

Add New bank Ka option apako profile section me jarurat dekhane ko mil jayega

Vaha apna bank ka name select kar ke search kare fir vah us mobile number se bank account number fetch kar ke apko bata dega.

kuchh aise aap bank account number find kar sakate hai.

 

Mobile number se bank account number kaise pata kare

Mobile number se kisi bhi bank ka account number search karane ke liye niche diye step ko follow kare.

Bank Account Number Find Karane ke liye phone pe application install kare, Us mobile se register/login kare jis bank ka account number aap pata karna chahate hai.

Jaise ki hamane register mobile number se phone pe application ko open kar liya hai, yahi mobile number hamare bank account se link hai. Ab apako Profile Icon par click karna hai.

Jaise aap profile button par click karate hai to apako kuchh aisa dekhane ko mil jayega, Fir Apako ADD BANK ACCOUNT Button par click karna hoga, bank account number search karane ke liye

Top me apako ek mobile number show karega jisase aap bank account search kar sake, Oopar diyga gaya kis bank se link hai, aur jis bank ka aap account number search kar rahe hai, Vah bank ko select kare.

Aap jis mobile number bank account number search kar rahe hai, usi mobile number se phone pe application ko login karna hai.

Jaise aap bank name select kar ke proceed karate hai to apko kuchh aisa dekhane ko mil jata hai, Yah apane jis mobile number se login kiya tha aur apane jo bank select kiya tha, us bank me yah mobile number kis bank account se link hai, usaka details fetch kar raha hai.

Apane jo bank select kiya tha, yadi us bank me kisi bank account number se link hoga to aapko bank account ki details dekhane ko mil jayegi.

Yaha apako bank ka name, bank account number, IFSC Code, Branch Name etc dekhane ko mil jata hai

Lekin aap yaha se full bank account number nahi pata kar sakate hai, Yadi full account number chahiye to apko bank branch jakar check karna hoga, yadi apake pass bank passbook nahi hai to aap bank se diary bhi bank se get kar sakate ho.

Phone pe se balance check kaise kare

Phone Pe Se apane bank account ka balance check karane ke liye niche diye step ko follow kare –

 

Phonepe Apps Se balance check karane ke liye aaplication ko register mobile number se login kare.

Upar apko left or right side apako profile icon par click kare.

Aap Jis bank ka balance check karna chahate hai, us bank ko phone pe se link kare, Add Bank Account Button par click karke kare.

Jaise ki hamare phone pe me already BOB Bank link hai, Isliye ham usake oopar click kar dete hai.

Jaise hamne bank ke name par click kiya to hamare samane aisa dekhane ko mil gaya hai.

Balance check karane ke liye apako Balance Check Ke name se button dikhai de raha hoga, usake upar click kare.

Jaise apako upi pin number etner karna hoga, yadi apko pata nahi hai to aap upi pin forgot kar sakate hai.

Jaise aap pin number enter karate to apake samne bank account ka balance dekhane ko mil jata hai.

Yadi aap this balance ko kisi dusare bank account me transfer karna chahate hai to aap phone pe me To Bank / UPI ID Button par click kare yah button apako phone pe ke home page par dekhane ko mil jata hai.

Fir apko jis bank me paise send karna hai vah bank details add kar diya aap chahe to kisi ki UPI Id par bhi payment send kar sakate hai, pahale bank account/upi id add kare.

Fir aap us bank account me payment send kar sakate hai UPI PIN Enter kar ke vah balance instant account me creadit ho jayega.

Kuchh aise aap bank account number find kar sakate hai, aasha karate hai ki apko sab kuchh samjh aa gaya hoga.

 

 

Related Post

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *